Pages

Friday, August 11, 2017

10 Tarike se mobile ko hng hone se roke


Mobile ko hang hone de Kaiser roke
By Rohit Kumar Behera....11/08/2017
   
Hi…Friends
Mera naam Rohit Kumar Behera he aur aaj hum baat karenge ki “Mobile Ko Hang Hone Se Kese Roke”



aapke liye ek best news he kyuki ye post aapke liye bahot kaam aane wali he muje laga mere bahot se friends phone karke bolte he ki mobile hang ho rahahe kuch kardo ab unko bolta hu ki yaha baithe me aapke mobile ko kese thik karu aap hi batao isliye me ye post update kar rahahu ki yahape wo dekhle unko link yaha se hi me link bhej dunga.

Main point pe hum jaate he to pehle to hamara android mobile hona chahiye kyuki mera exprience sirf android ka hi he or jyada tar log android hi use kar rahe he.

Read: Internet se Free Call kare kisi bhi Number par

Mobile Hang hone ke Karan or unke Upai

Tip 1: aapke mobile me jo bhi anti virus or jo cleaning ke apps installed he unhe pehle hi uninstall karde kyuki mera jab tak ka exprience he tab tak ka mene kitne ke mobile ese hi thik kiye he.

Tip 2: ab aapke mobile me to n jaane bahot se apps honge ab aap ko jitne kam kaam aate he unko bhi saath me uninstall karde kyuki ki ye apps aapke liye khatarnaakh ban sakte he kyuki unke dhire dhire data storage badhte jaate he or aapko pata bhi nahi chalega aapka mobile kyu hang ho rahahe.

Tip 3: ye ek main point he ab aap jo bhi apps ka use nahi karte ho use force stop kardo kyuki agar wo running me hoga to aapka mobile bahoti hang hoga

Tip 4: or kuch kuch apps ke data bhi clear karte raho kyuki time pe data badh jaane pe mobile hang nahi hoga kuch lemete rakho.

Tip 5: ab aage kuch aapne naya phone liya ho to aapke mobile me dhada dhad app mat install kare kyuki esa karne se naya naya mobile load nahi kar sakta or kuch hi dino baad aapka mobile hang hone lag jaata he

Tip 6: jyada tar log internal storage me apps install karte he to esa karne se RAM pe bhi dabaw badhega or mobile hang hone lag jaayega isliye jydatar apps ko aap ko memory card me install kare or jo bhi aapne internal me install kiya he use aap memory card me transfer karde.

Tip 7: ho sake tab tak aapka internal storage ko clear rakhe mens ki aapke phone memory me mat bhariye kuch bhi or memory card me bhi kuch space rakhe jese ki aapke paas agar 16 GB ka momery card he to aapko 2-3 GB tak ki to space rakhni hi hogi.

Tip 8: Agar aap internet chala te he to Data On kerne ke baad kuch der ke liye kahabhi tuch mat kariye kyuki aap jab bhi data on karte ho tab bahot si proccess on ho jaati he jese ki Whatsapp , Facebook notifications , hike ,any update etc or agar aap kahipe touch karenge to system bahoti hang hogi kyuki saamne bahot si process chal rahihe or aap or bhi chalana chahte ho to kuch notifications ko full aa jaane ka wait kare baadme unko open karle baadme hi kuch kaam kare

Tip 9: baar aar aapke Memory Or Phone Memory ko pc me connect karke scan karte rahe kyoki kuch viruses hoge to wo nikaal denge

Tip 10: or aap bahoti high leval ke browser use karte ho jese ki Google Chrome , morzila , UC browser ese high leval ke jo bhi browser ke clear data jarur kare kyoki jyada tar aapke mobile ko ye hi browser hang karte he un sabhi ke andar se clear cookies , clear data , clear history ye sub jarur kare kyuki aapke Mobile ki system pe bahoti kam load ho.

mene ye 10 Best tips di he ye aapke liye or aapke frds ke liye bahoti jaruri tips he kyoki aaj kal dekhe jaaye to achhe se achhe mobile isi tarah se hang ho jaate he to frds bolte rehte he ki yaar mobile hang ho rahahe Mobile hang ho rahahe. to frds is post ko aap aapke Family or Frds ke saath jarur share karna kyuki wo esi parishthi se bach sake.

ye post ek hang se bachane ke liye hi nahi balki ye post aapke battery, aapke mobile life ke lioye bhi jaruri hai or In tips se aapke mobile me jaan dal sakti hai..

Thursday, August 10, 2017

mobile ka password kaise tode

Mobile ka password kaise tode


Kai bar jub hum apne mobile smart phone me password dalkar bhul jate hai, ya jub bhi hamara phone slow chalne ya bar bar hang hone lag jata hai to is problem ko thik karwane mobile phone repair karne wale ke pass jate hai or wah is ko thik karne ke 200-300 rupaye le leta hai. Ab aapko in sub problem ke liye kisi bhi mobile repair karne wale ke pass jane ki jarurat nahi hai. ab aap pal bhar mai apne slow phone ko fast or kisi bhi phone ka password crack kar sakte hai. chahe android ho ya other device.

Smart-Phone Ka Password Kaise Khole

Kisi bhi phone ka password ko todne ke liye or naye jaise supar fast speed karne ke liye phone ko hard reset karne ki jarurat padti hai. Hard Reset karne ke liye iska default code ya fir step by step tarike ko follow karne ki jarurat hai. me niche bata raha hu dyan se samjhiye.

Smart Phone Ka Lock Ko Unlock Karne Ki Jankari

Sabhi company ke Phone ko reset karne ke liye ek default code or process ka tarika hota hai. Agar aapko yah pata hai to phone reset karna bahut esy hai. Agar aapko inke bare me pata nahi hai to ek Hard Reset name ki website hai . jisme sabhi companiyo ke mobile phone chahe koi bhi model ka mobile ho, hard reset karne ka code or tarike ki jankari all phone ke liye di gai hai hai. jiski madad se lock phone ko unlock kiya ja sakta hai.

Smart Phone Ka Password Kaise Khole

Hard Rest website se aap apne phone ko unlock aur sabhi chhote mote dikkat ko thik kar sakte hai. bas aapko is website par jakar kuchh step follow karna hai.

Step 1.

Sabse pahle is link ko… http://www.hard-reset.com/ open kare aur Hard Reset website par jaye.
Step 2.

Ab jo page khulega usme jis Mobile Phone ko Password Unlock karna hai uske company ke name par click kare.
Step 3.

Ab phone ke Model no. ka ek page khulega, aapko Model Number salect kar ke click karna hai.
Step 4.

 Ab jo page khulega isme Phone ko Hard Reset karne ka Code aur pura Tarika bataya gaya hai inko dekh kar sabhi Instruction Follow kar ke apne phone ko Reset kare.
Phone ke hard reset hote hi aapka phone restart hoga aur usme laga huaa password bhi hat jayega sath hi aapka phone fast or agar hang hota hai to thik ho jayegi.Dosto mobile phone me password ( unlock ) kholne ki jankari kaisi lagi comment me bataye. Agar aapko lock todne, kholne me kuchh problem aa rahi hai to comment kare. Aapki help karne me khusi hogi.